Best Whatsapp Locker App to Protect Whatsapp Data.

Whatsapp Locker App: Hello Readers!! aaj hum janenge ki kya hum apne Android phone par apne whatsapp ko Password y pattern Protect kar sakte hain? Agar hum saral shabdon me kahen to kya hum apne whatsapp ko Lock kar sakte hai. Agar aapka bhi ahi sawal hai to, mei bata dun in sabhi sawalon ka jawab hai haa. App apna Whatsapp ko Lock karke Surakshit reakh sakte ho.


To Chaliye jante hain ki kaise hum Apne Whatsapp App ko Lock karke rakh sakte hain? agar dekha jaye to ye kafi saral hai, aap koi whatsapp Locker App Playstore se Install karke aasany se Apne Whatsapp ya Kisi bhi App ko Lock ya Password/Pattern Protect karke rakh sakte ho.

Hum ahan par AppLock App ki udaharan ki sahayta se aapko bata rahen hain ki kaise aap Whatapp ko Lock kar sakte hain. Yah bhi kafy popular  app hai App Locker ke mamle mai. 100+ Million Downloads hai & 4.4 Star Ratings hai, PlayStore me.

How To Lock Whatsapp App or Protect Whatsapp Data by using App Locker.?


Sabse pahle aapko Playstore se AppLock App ko Install kar lena hai. aap chahen to niche diye link ka prayog kar bhi AppLock ko Install kar sakte ho.


Install hone ke baad jaise hi app ko open karoge aapse ek Pattern draw karne ko kaha jayega or fir Pattern ko Confirm karne ko kaha jayega.( Jis Pattern ki sahayta se aap Apps ko open kar sakoge har bar.) Or sath hi aapse Security Email manga jayega. Email dalne ke baad aapko Save par Click kar dena hai.

Ab App fully tarah se open ho jayega, or waha par apko aapke Phone me Install sare Application ke list najar aayenge. Ab aapko jis Application ko lock ya Password/pattern Protect karna hai us ko Select kar lena hai.



Jaise ki maan lijiye humko Whatsapp ko Lock karna hai mai Whatsapp ko Select kar lunga. Jaise hi aap Application ko Lock karne ke liye Select karoge aapke samne screen par ek Message Show hoga jisme likha hoga ki " In Android 5.0 or above, you must permit usage access for Applock so that you can use AppLock feature."
Whatsapp locker app, best app locker app,


Agar aapka bhi mobile phone Android Version 5.0 ya usse adhik ka hai to aap, usage Permit access kar sakte ho. taki aap bhi is AppLock app ki madad se apne Whatsapp ko lock kar sako.

Jaise hi Permit par Click karoge Kuchh is tarah ka screen dikhega, Jisme se aapko AppLock ko select kar lena hai.
whatsapp-locker-app


Select Karne ke baad apko niche Screenshot me dikhaye gye nirdesh ka palan kar use ON kar dena hai ya Allow kar dena hai.
whatsapp-locker-app,

Jaise hi Allow karoge aapka Whatsapp Lock ON ho jayega aap use Check kar sakte ho, apne Whatsapp Application ko Open karte time, or Jo Pattern aapne Shuru me Dala tha usi Pattern se aapka Whatsapp Lock khulkega. Jesa ki niche dikhaya gya hai.

Conclusion:
Mai aasha karta hun ki aap samajh gye ki kaise aap apne Whatsapp ko Lock kar sakte ho. Or is madhyam ki sahayta se aap apne whatsapp Chat Data ko bhi Safe rakh sakte ho. Agar aapka koi sawal ya sujhaw ho to niche Comment karein.


Post a Comment

أحدث أقدم
CLOSE ADVERTISEMENT